Friday 15 December 2017

KHUL KABHI TOH LYRICS – HAIDER

Song: Khul Kabhi Toh


Singer: Arijit Singh
Lyrics: Gulzar

Starring


Khul Kabhi Toh lyrics


Khul kabhi toh, khul kabhi kahin
Main aasmaan, tu meri zameen
Boond boond barsun main Paani paani
khelun khelun aur beh jaaun
Geele geele hothon ko main
Baarishon se choomun choomun
Aur keh jaaun
Tu zameen hai, tu meri zameen
Khul kabhi toh, khul kabhi kahin
Main aasmaan, tu meri zameen
Lab tere yun khule, jaise harf thhe
Hont par yun ghule, jaise barf thhe
Aana zara zara, main haule haule
Saans saans, senk doon tujhe
Lab tere yun khule, jaise harf thhe
Honth par yun ghule, jaise barf thhe
Tu hi tu hai, main kahin nahi
Khul kabhi toh, khul kabhi kahin
Main aasmaan, tu meri zameen
Jhuk ke jab, jhumka main
Chum raha tha, Der tak
Gulmohar jhoom raha tha
Jal ke main sochta tha
Gulmohar ki aag hi mein
Phenk doon tujhe
Jhuk ke jab, jhumka main
Chum raha tha, Der tak
Gulmohar jhoom raha tha
Tu meri kasam, tu mera yaqeen
Khul kabhi toh, khul kabhi kahin
Main aasmaan, tu meri zameen
Boond boond barsun main Paani paani
khelun khelun aur beh jaaun
Geele geele hothon ko main
Baarishon se choomun choomun
Aur keh jaaun

No comments:

Post a Comment